Log kyu peete hai?

Log kyu peete hai? 

Jab main apni cigarette ko apni ungliyon ke beech kas kar pakadta hoon, sabhi bhavanayein jaise chinta, tanav, dard ya shayad sirf ek vyaapak khaali pan, soch ki chaukhat par darwaja khatkatati hai aur tab main shabdon ke liye joojhta hoon. Main yeh samajhne ki koshish karta hoon ki kis galat kadam ne is pal tak pahunchaaya, sawaal karta hoon ki yeh galat kyun hua, yeh kaise alag ho sakta tha, aur kab main uth kar bhaag jaunga jaise ki main hamesha karta hoon…Ek aur bhare-pure jheel ki sukhi hui satah ke samne mai aaj phir khada tha, jiski rait bech ek skyscraper jld hi taiyar kar dia jayega, mere vicharon ki banjar bhoomi jaisa—sapnon, aakankshon, aur ichchhaon se rehait.
Aakash choone wali unchi imaaraton ko dekhte hue, jo meri aankhon mein gehrai se jhaankti hain, ek doosre se Mukabala karti hain ki kaun ooncha hai, kaun zyada chamkila hai, kaun zyada paise kama sakta hai aur kaun sapno ko bechne mein behtar hai.
Ek behtar jeevan ka sapna, ek aisi duniya ka sapna jahan aap ho, aapki perfect car, aapka perfect parivaar, sundar patni, aur pyaare bachche, phir aap jeevan bhar ki kamai khun pasina alag kar emi pe uss sapne ko kharid lete ho aur tb apko asliyat ka ehsaas hota hai,  tb aap dekhte hain ki aapke dono taraf logon ke paas aur bhi behtar cheezein hain. Unke paas behtar car hai, behtar parivaar hai, Ek sundar patni, jo aapko ab aapki league se bahar ki lagti hai, apne pool mein koodta hua golden retriever hai. ..Bache toh aise bhi duso ke pyare lgte hai.

A perfect society, cancer ki tarah faila cubes and cubes multiplied and multiplied jab tak najre aseemta se mat na kha jaye, 1300 varg feet ke 3BHK, eent ki deewar mein dabe hue, jo aakansha, mahatvakanksha, sukh ke roop mein becha gaya, kuch aisa nahin jo aapne kharida balki kamaya.

Jeevan ki daud mein, aap khud ko ek aise track par paate hain jahan finish line lagatar badalti rehti hai. Aap apne padosiyon, collegues, aur doston ke saath chalte hain, unke lakshya aapke jaise hi hote hain. Fir bhi thoda door dikhte hain.
Kalpana kijiye, Imagine: aapne ek chamakdar nayi sedan pane ke liye kadi mehnat ki hai, apki uplabdhiyon ka prateek. Lekin jaise hi aap iski chamak par khush hote hain, ek padosi ek shandaar sports car mein ghoomta hai, aapki uplabdhiyon ko unki luxury se daba deta hai.
Kalpana kijiye ki aapko finally wo bonus milta hai jiske liye apne din raat ek kar dia aur whi dusri call pe apke bachpan ka sathi jisne aaj tk kitab ko hath nhi lgaya woh bambai jake bda film star bn chuka hai.
Phir yaad kariye jb parso us menghe mall mai aap sbko apne Taj hotel ke stay or Simla ke kisse sunata chahte the us ek lift mein jo ek aur gaganchoombi imaarat mein thi jisme ghar kharidne ka aap soch bhi nahi sakte. Usi lift mai darwaza band hote hain aur ek ajnabi videsh ki kahaniyan sunata hai—Amazon ki yatra, South of France ka cruise, Sicily mai private island ki wild party, aur Swiss Alps ki hike.
Unki kahaniyan sun kar aapko lagta hai ki aapke anubhav toh unke samne pheeke hain.
Jaise din beet te jaate hain, aap sochte hai iss lagaatar chal rhi daud ke barein pe, jahan safalta sirf ek illusion lagti hai.
Aapki achievements, jo pehle aapke liye garv ka kaaran thi, ab doosron ki jeet ke samne chhoti si lagti hain. Aap apne aap se yeh sawaal karte hain, ki kya iska koi ant hai, ya yeh sab tulna aur nirantar asantosh ka matra ek chakra hai.
Jahan aapki mid-life crisis aur existence ke questions darwaze par knock karte hain aur aapke self-esteem, prestige, respect ke liye kathor prashn poochte hain, jinke jawab apke pass nhi hai.
Aapko aisa lagta hai jaise ab aap sb haar chuke ho, aapke andar ki awaaz ab khi kho gyi ho.
Self-doubt ka shor mach raha ho, Aur har taraf aapki insecurity ka propaganda chal raha ho, jaise aapko apni hi sarkar se baahar nikal diya gaya ho, apni hi cabinet se baahar. Aap aag ke beech mein khade hain, jahan har taraf ‘shame’, ‘shame’, ‘shame’ ki awaazein sunai deti hain, jaise aap life ki is differentiation mai limit-zero ki ore tezi se daud rahe hon.
Tbhi Naina ki awaaz aati hai aur apko kehti hai…Kuch na kuch toh choot hi jayega bunny

Tbhi Ciggarate bhujne lgti hai…bilkul iss brhmand ki tarah jo apne ant ki taraf roz bdh rhi hai aur hum sb ik sitare ke bas marne ka wait kar rhe, jise hum dusri ciggarate jalane se pehle hi bhul jayenge aur background mai reh jayega toh bas wake up sid ke iktara ke kuch bol.
Hum sb uss ek tare ke jaise bn jayenge jisne jo kamaya, hasil kiya usse numerator mai rkha aur apne andar ka khalipan, daur mai jhoki akansha mehetwakansa ko denometor mai rkh bas undefined banke iss universe mai khi kho gya…Ek rounding error ke jaise.

Mujhe pata hai ki ab aap mujhse puchhenge…log kyun peete hain?
Toh chliye mai apko aaj answer de hi deta hun… Aaiye, main apko dikhata hoon meri perfect life, mere sapno ka ghar, meri pefect car, meri perfect wife, aur mere pyaare bachche.

By: Kshitij Sinha
16/06/2024

>